UrduStan.com Headlines from popular Urdu newspapers and other Urdu info

Title

U R D U S T A N : urdu ka nasha اردو کا نشہ Poetic Tribute on sad demise of Maulana Ziauddin Islahi, Editor " Ma'arif " and Director Darul Musannifeen, Shibli Academy Azamgarh

The Ziauddin Islahi adeeb e khush bayan Ek sadak ke haadse mein chal base jo nagahan The woh Shibli ki Rawayat ke haqiqi pasban Hai "Muaarif" aaj jinke fikr o fan ka tarjuman Unka faizan e nazar tha ek ganj e shaigan Ja baja bikhre hue hain unki azmat ke nishan Gulshan e Shibli mein unki zaat thi misl e bahar Unke jane se yahan par aagayee fasl e khizan Unki amali zindagi thi mazhar e sidq o safa Unki ilmi shakhsiyat thi marja e dinishwaran Unki Islami adab par thi bahut gahri nazar Unke rashhat e qalam hain mazhar e husn e bayan Unka hai Urdu Adab par ek ehsaan e azeem Mit nahin sakte kabhi unke nuqush e javedan Wah sharifunnafs the sab ko hai iska eteraaf Apne husn e khulq se the woh dilon par hukmaran Unki qabl az waqt rehlat se sabhi hain sogawar Ho nahin sakti talafi jiski hai yeh woh ziyan Unke rufqa sadmah e jankaah se hain muzmahil The woh "Barqi" andalib e gulshan e Hindustan Jald hi Haj ki saadat se hue the sarfaraz Unka maskan aaj hai "Ahmad Ali" baagh e jinan

Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 598/9 (L-27) Zakir Nagar New Delhi-110025

at 3:13 AM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 0 comments


Saturday, January 26, 2008 Munhasir Hai Aaj Internet Peh Duniya kaNizam

Munhasir hai aaj Internet peh duniya ka nizam Ashhab e dauran ki hai ab iske hathon mein lagam "World Wide Web" mein hai mumtaz "Google.Com" Istefadad kar rahe hain aaj jis se khas o aam Sab sawalon ka tasalli bakhsh deti hai jawab Is liye mashhoor hai sare jahan mein iska naam Hain "Rediffmail" aur "Yahoo" bhi nehayat Kargar Jari o sari hai unka bhi sabhi par faiz e aam Hain wasilah rabte ka yeh sabhi "Websiteein" Kar rahi hain khidmat e khalq e khuda jo subh o sham Faslah kuchh bhi nahin hai aaj qurb o bod mein Chand lamhon mein kahin bhi bhej sakte hain payam Form bharna ho koi ya book karana ho ticket Aaj "Internet" se hai maqool iska intezam Har jagah hai " On Line" yeh sahoolat Dastyab "Bank" ho "School" ho ya "Railway" ka "platform" "Radio"," Akhbaar", "TV", "Media"Ahle Nazar Istefadah kar rahe hain aaj is se sab mudam Hai muaavin aaj yeh "Science" ki tahqeeq mein "Technology" main bhi is se le rahe hain log kaam Qafelah tahqeeq ka jab tak rahega gamzan Kaam aayega musalsal iska husn e intezam Hain yeh "Website"Zaroorat waqt ki "Ahmad Ali" Is liye ahl e nazar karte hain inka ehtemam

at 2:10 AM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 1 comments


Friday, January 25, 2008 Hai Aaloodgi Nau e Insan ki Dushman

Slow poison hai fiza mein pollution Har ek shakhs par yeh haqeeqat hai roshan yunhi log be maut marte rahenge Nah hoga agar jald iska solution Bade shar hai zad meinaaloodgi ki Jo hassas hain unko hai is se uljhan Fiza mein hain tahleel masmoom gaisein hai mahdood mahaul mein oxigen Jidhar dekhiye carbon ke asar se hai mail bah pazhmurdagi sahn e gulshan Kisi ko dama hi kisi ko illergy mokaddar hava se kisi ko hai tension Jawanon ke aasaab par hai nqahat Buzurgon ki ab zindagi hai ajiran Kahan jayein ham bach ke aaloodgi se Kahin bhi nahin chain gulshan ho ya ban Kai 'Union Corbide hain ab bhi Jo dar pardah hain nau e insan ke dushman Shab o rooz aaloodgi badh rahi hai Hain nadiyan sarasar ksafat ka makhzan Jahan garm se garm tar ho raha hai Na ho jaye nau e bashar iska eindhan Hai 'O Zone' bhi zad mein aaloodgi ki jo hai kurra e arz par sayah afgan Jo bharte hain dam rahbari ka jahan ki Woh rahbar nahin dar haqeeqat hain rahzan Kayoto se karte hain khud chashm poshi Lagane chale dosron par hain qadghan Banate hain khud Atomi aslahe woh Samajhte hain khud ko magar pakdaman Tsunami hai unke liye dars e ibrat Dikhane chale hain jo fitrat ko darpan Salamat ravi ka taqazah yahi hai Chudayein sabhi is musibat se daman Hai ' Ahmad Ali 'waqt ki yeh zaroorat Baharhaal ab sab pe naafiz ho qadghan

at 5:31 AM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 0 comments


Jidhar Dekho Udhar Aalodgi hai

Jidhar dekho udhar aaloodgi hai Sabhi par aaj taari behisi hai Kasafat ab shaar e zindagi hai Numayan har taraf pazhmurdagi hai fiza aaloodgi se paak rakhiye Agar darkaar husn e zindagi hai Na hoga cancer lahaq kisi ko Sabhi bimariyon ki ma yahi hai Sabhi kuchh munhasir mahaul par hai Agar mahaul mein pakeezgi hai Taro tazah rahega zehn is se Sukoon e qalb ka zamin yahi hai Neshat o kaif se sarshar hoga Isi se zehn mein balidgi hai Gulon mein rang o boo qayam hai is se Shaguftah aaj isi se kar kali hai Nahin hai is se behtar kuchh bhi Ahmad Yahi apni mata e zindagi hai

at 5:18 AM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 0 comments


Ekkisavin Sadi hai science ka Zamanah

"INSAT-4B hai "ISRO" ka karnamah Jo Hind ne kiya hai su e falak rawanah Sciencedan hamare ab kam nahin kisi se Sab muttafiq haein is par hai motarif zamanah Hr shakhs ki zuban par hai aaj "GSLV" Hai aaj ek haqeeqat kal tak jo tha fasanah Behad mufeed hoga system mein "DTH" ke Sab ke liye yah hoga Tafreeh ka bahanah Ab hosake gi is se tauseeye 'Doordarshan' Logon ki ab khushi ka koi nahin thikanah Aayega jald hi wah din bhi fazl e Rab se Jab 'Chanderyaan hoga su e falak rawanah Ab ud rahe hain har soo setlite aasman par Ekkisavin sadi hai 'science' ka zamanah Kah do ki jag jayein ghaflat mein sone wale Unke liye yeh din hai ibrat ka taziyanah 'Tareekhsaz' din hai yeh barah march Barqi Kyon ham na ab manayein ek jashn e fatehanah

at 5:00 AM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 3 comments


Kijiye Aaloodgi ka sadde bab

Kijiye aaloodgi ka saddebab Nau e insan ke liye hai yeh azab Hai agar darkar hifzan e sehat Kijiye is se hamesha ijtenaab Jaan ka janjal hai aaloodgi Haein muzir asrat is ke behisab Karkhanon ki muzir gaison se aaj Jisko dekho kha raha hai pech o tab Har taraf hai corbon hi corbon Oxigen ka tawazun hai kharab Ghut raha hai dam mukaddar hai fiza Zindagi mein kuchh nahin hai aab o tab Hai floride ka paani mein asar Jis se hai logon mein behad izterab Jhuk gayee fart e naqahat se kamar Is se hai darkar chutkara shetab Hai pareeshanhaal har chota bada Ab bade shahron mein jeena hai azab Neend ki goli bhi ab hai be asar Ud gaya hai aajkal aankhon se khawab Shakl mein aaloodgi ki aajkal Hai musallat ham pe fitrat ka azab Anginit darpesh haien aise sawal Jinka milna hai abhi baqi jawab Mukhtasar hai zindagi ka yeh safar Jo bhi krna hai hamein kar lein shetab Har kisi ke zehn mein hai yeh sawal Aaj kyon mahaul hai itna kharab Hai Zaroorat waqt ki Ahmad Ali Sab karein mil jul ke iska ehtesab

at 4:40 AM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 1 comments


Thursday, January 24, 2008 Zad Mein Aaloodgi ki Hain peer o Jawan

Garm se garmtar ho raha hai jahan

Bhag kar koi jaaye to jaaye kahan

Har traf gadiyan hain rawan aur dawan

Zad mein aaloodgi ki hain peer o jawan

Shahr mein is qadar hai mokaddar fiza

Har taraf jaise chhaya hua ho dhuwan

Gaon ki zindagi thi bahut khushnuma

Ab wahan bhi hain aaloodgi ke nishan

Aajkal sath e o zone khatre mein hai

Hain yeh insaan ki kaar farmaiyan

Koi mahfooz aaloodgi se nahin

Nit nai jis se lahaq hain bimariyan

Hai sunami kahin aur kahin zalzala

at 8:21 PM Posted by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi 0 comments


Older Posts Subscribe to: Posts (Atom) Blog Archive ▼ 2008 (13) ▼ February (1) Poetic Tribute on sad demise of Maulana Ziauddin I... ► January (12) Munhasir Hai Aaj Internet Peh Duniya kaNizam Hai Aaloodgi Nau e Insan ki Dushman Jidhar Dekho Udhar Aalodgi hai Ekkisavin Sadi hai science ka Zamanah Kijiye Aaloodgi ka sadde bab Zad Mein Aaloodgi ki Hain peer o Jawan Hai "Science " Qudrat ki Anmol Neamat Thee Maheenon Tak Feza Mein Suunita William Makee... Sunita William Ka Safar Science ka Hai Mojzah Hai Aaloodgi baaise haadsaat Aaj Hai Information Technology Ki Bahar Information Technology

About Me

Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi M.A(Urdu,Persian),PHD (Persian),B.ED, Composing Topical Urdu Poetry of Scientific Nature & Current Scientific and Technoligical Events and International Days View my complete profile

Description

Lots of people have helped in making urdustan a reality, tirelessly volunteering their time and effort. Urdu , community of Urdu, and urdustan.com are grateful to the people who have contributed to the urdustan and continue to do so by sending their articles, participating in messageboard, mushaira, qalmi dosti etc. and guiding us by giving us their valuable mashwaras. We thank you all !

This site is supported by voluntary efforts by many individuals. Advertisement banners on this site helps to support the hosting charges. We are not associated with any organization and the only purpose of urdustan is to promote Urdu.

Languages

English io Polio ki hai zaroori rok tham

Kijiye bar waqt is ka intezam

Tandurusti ka hai zamin yeh drop

Is liye lazim hai iska ehtemam

Hai yeh bachchon ke liye jam e sehat

Tandurusti ki elamat hai yeh jam

Hai agar darkar hifzan e sehat

Is mission ko kijiye logon mein aam

Qaum ke meamar hain bachche yahi

Mulk ka jo kal sanbhalein ge nizam

Hai zaroori unki zehni Tarbiyat

In mein shayad ho koi " Abdul Kalam"

Hai namunah jiska kirdar o amal

Hai zaban par har kisi ki jiska nam

Shayad in mein koi "Sir Syed" bhi ho

Jiska jari aaj tak hai faiz e aam

Hai "Aligarh" jiska maidan e amal

Mulk ka raushan kiya hi jisne naam

Koi shayad ho "Hakeem abdul Hameed"

Jis ka hai "Hamdard" ek naqsh e dawam

Tha jo apne aap mein ek anjuman

Khidmat e khalq e Khuda tha jis ka kaam

"Jamia Hamdard" hai iska saboot

Istefadah karrahe hain khas o aam

Har ki khidmat kard oo makhdoom shud

Zaat par sadiq hai unki yeh kalaam

"Polio" dar asl hai sohan e rooh

Is ka hoga kab na jaane ekhtetaam

Ho saka iska nah abtak saddebaab

Hai yeh 'Barqi' ek ibrat ka muqaam

Share it! — Rate it: up down [flag this hub]

Comments RSS for comments on this Hub

No comments yet.

Submit a Comment

You are signed in as Dr.A. Ali Barqi. sign out


Comment:




Dr.A. Ali BarqiScore: 45 Fans: 0 Hubs: 13 Joined: 7 days ago Contact Dr.A. Ali Barqi

Join Dr.A. Ali Barqi's fan club

Subscribe to Dr.A. Ali Barqi's RSS feed

Request a hub from Dr.A. Ali Barqi

more by Dr.A. Ali Barqi Tags health polio add tag

Contact

kashif hoda
San Diego CA
United States 92196
206-339-8738

Additional Information

Related Domains

External Links



Retrieved from "http://aboutus.com/index.php?title=UrduStan.com&oldid=27733962"